Apni marzi se kahaan apne safar ke hum hain
Rukh hawaaon ka jidhar ka hai, udhar ke hum hain.
Pehle har cheez thi apni, magar ab lagta hai
Apne hi ghar mein kisi doosre ghar ke hum hain.
Waqt ke saath hai mittee ka safar sadiyon se
Kisko maloom, kahaan ke hain, kidhar ke hum hain.
Chalte rehte hain, ke chalna hai musaafir ka naseeb
Sochte rehte hain kis raah guzar ke hum hain.
Rukh hawaaon ka jidhar ka hai, udhar ke hum hain.
(Penned by Nida Fazli, Jagjit Singh's voice)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment